Bas dil chahta hai dard or sirf dard,
par khushi ki bhi chahat hai.
ankhon me nami hai meri,
Honthon pe muskurahat hai.
aye zamane ab tu hi bata ye kya marz hai,
paraye bhi apne lagte hai, apne bhi lagte paraye hain.
Dard kisika dekha nahi jata. khushi se bhi uski shikayat
hai.
Use apna bhi mana hai, aur wo begana bhi hai.
Hai buri aadat apni, badi jaldi dil lagane ki,
unhe bhi adat buri hai dil dukhane ki.
Na jane kyon hum hi taraste hain kisi ki aas me.
sabko to adat hai bas door jane ki.
apna dil hi shayad bas sheeshe ka hai shayad,
arzoon hai ashiyan bhi sheeshe ka banane ki.
Andhi zamane ki chalne hi wali hai, safar ka abhi aghaz hi
hai,
Dekhen kitna dum hai apni adaa me, samne hi to toofan hai.